Mardana Timing Ki Kami Ya سُرعتِ انزال (PE): Wujuhat, Ilaj Aur Doctor Sy Mashwara

Mardana timing ki kami, jise tibbī zabaan mein سُرعتِ انزال (Premature Ejaculation) kehte hain, aik aisa masla hai jo bohot se mardon ki zindagi ko mutasir karta hai. Yeh masla sirf jismani nahi, balkeh zehni aur jazbati tor par bhi asar انداز hota hai.

Aksar mard is maslay ko le kar sharmindagi mehsoos karte hain, lekin asal sach yeh hai ke yeh aik aam aur mukammal tor par qabil-e-ilaj masla hai — bas zarurat hai waqt par pehchan aur mo’tabar sexologist se mashwara lene ki.

Mardana Timing Ki Kami Kya Hai?

Sُurat-e-inzaal ya premature ejaculation us surat ko kaha jata hai jab mard jِnsi amal ke shuru hote hi ya us se kuch dair pehle discharge kar jayein. Aksar yeh masla 1 minute ke andar hota hai, jis ki wajah se dono partners ko jِnsi tasalli nahi milti.

Yeh masla do qisam ka hota hai:

  • Primary PE: Jab kisi shakhs ko pehli baar se hi yeh masla ho
  • Secondary PE: Jab kisi waqt tak sab kuch theek ho, lekin baad mein yeh masla shuru ho jaye

Mardana Timing Ki Kami Ki Wajuhat

Har shakhs mein is maslay ki wajah mukhtalif ho sakti hai. Kuch aam wujuhat yeh hain:

Zehni Ya Nafsiati Wajuhat

Zehni ya nafsiati wajahaat mein aksar had se zyada aur ghalat tareeqay se mushtzani (masturbation) ka amal shamil hota hai, jo mardana timing ki kammi ka aik ahem sabab hai. Jab mushtzani ko jaldi jaldi, ghabrahat aur chhup kar anjaam diya jata hai — sirf is koshish mein ke kam waqt mein mukammal ho jaye — to yeh aadat reflexes ko is tarah tune kar deti hai ke jism foran ejaculate karne ka aadhi ho jata hai, jo aage chal kar sur’at-e-inzaal ka sabab banta hai. Mushtzani ke baare mein ghalat tasawwuraat bhi surat-e-inzaal ka sabab ban saktay hain. Isi tarah mazhabi shiddat pasandi (Religious Orthodoxy), jahan jinsi amal ko ghalat ya gunaah samjha jata hai, zehni dabao paida karti hai. Pabandiyon wali parwarish (Restrictive Upbringing) ya manfi zehni sazi bhi mard ke zehan mein jinsi taluqaat ke baare mein dar aur uljhan paida kar sakti hai, jo baad mein surat-e-inzaal ka bais banti hai.

Tension, anxiety, ya performance ka pressure bhi surati inzaal ka sabab ban sakta hai. Yeh pressure aksar naye shaadi shuda mardon mein dekha gaya hai jahan woh apni partner ko khush karne ki fikr mein overly conscious ho jaate hain.

Jismani Wajuhat

Hormonal imbalance, prostate infection, ya nerve sensitivity jaise factors mardana timing mein kami ka sabab ban sakte hain. Yeh aksar un mardon mein dekha gaya hai jo kisi medical issue ka shikar hain.

Lifestyle Aur Ghalat Aadatein

Jaldbaazi, poor diet, neend ki kami, ya over masturbation jese factors bhi mardana timing ko affect karte hain. In cheezon ko control karke bhi bohot behtari laayi ja sakti hai.

Symptoms Aur Nuksanat

Surat-e-inzaal mein sab se pehla symptom jaldi discharge hai, lekin is ke sath kuch aur asraat bhi samne aate hain:

  • Apne upar confidence ka kam ho jana
  • Partner ke sath relationship problems
  • Jِnsi amal ke doran frustration
  • Depression ya anxiety ka shikar ho jana

Yeh sab asraat agar waqt par treat na kiye jaayein, to masla aur bhi barh sakta hai. Agar timing ke sath sath aap ko erection ka masla bhi ho raha hai to mardana kamzori ka ilaaj bhi foran karwana chahiye

Mardana Timing Barhane Ke Tibbī Ilaj

Zaroori nahi ke har shakhs ke liye ek hi ilaaj kaam kare. Modern tibb mein kuch proven treatments mojood hain jo timing barhane mein madadgar sabit hote hain:

  • Oral medications jo ejaculation ko delay karti hain
  • Therapy ya counseling agar masla psychological ho
  • Exercises aur breathing techniques
  • Lifestyle changes, jaise diet control aur stress management

Dr. Farooq Nasim Bhatti har patient ke liye mukhtalif plan tayar karte hain jahan maslay ki jarr tak pohanch kar treatment shuru kiya jata hai.

Waqt par surat-e-inzaal ka ilaaj karwana na sirf jِnsi zindagi behtar banata hai, balkay jazbati sukoon bhi deta hai.

Doctor Sy Mashwara Kyun Zaroori Hai?

Aksar log sharam ki wajah se doctor sy mashwara nahi lete aur self-medication ka sahara lete hain. Yeh tareeqa sirf masla barhata hai.

Ek qualified sexologist jaise Dr. Farooq Nasim Bhatti, MBBS, FAACS (USA), Diplomate: The American Board of Sexology (USA), CST, HSC (Hong Kong), CART (Malaysia), CART (China), saap ka proper diagnosis karte hain, aur aise treatments recommend karte hain jo safe, proven aur personalized hote hain. Un ka clinic privacy aur professionalism ka numoona hai, jahan har shakhs ko poora ihtimam diya jata hai.

Dr. Farooq Nasim Bhatti – Mardana Timing Specialist in Lahore

Dr. Farooq Nasim Bhatti Pakistan ke pehlay aur chand gine-chune sexologists mein se hain jinke paas international certifications aur 30 saal ka tajurba hai. Unhon ne hazaron mardon ka mardana timing ka masla kamyabi se treat kiya hai, wo bhi bina kisi embarrassment ke.

Un ka clinic Lahore mein un mardon ke liye safe space hai jo surati inzaal ka hal chahte hain.

Aakhri Paighaam: Ilaj Hai — Bas Pehla Qadam Aap Ka Hai

Mardana timing ka masla aam hai — aur iska ilaaj mojood hai. Agar aap is maslay ko le kar pareshan hain, to dair na karein. Apni health ko ahmiyat dein, aur pehla qadam uthayein.

Aksar mard is maslay ko le kar sharmindagi mehsoos karte hain, lekin asal sach yeh hai ke yeh aik aam aur mukammal tor par qabil-e-ilaj masla hai — bas zarurat hai waqt par pehchan aur sexologist in Lahore se mashwara lene ki

Aap confidential consultation ke liye Dr. Farooq Nasim Bhatti se rabta kar sakte hain. Apni zindagi ko behtar banayein — aaj se.

Regain Confidence with Our ED Solutions

Explore effective treatments for erectile dysfunction. Take charge of your intimacy today.